 | | Mumkin nahin hai jina bas yadon ke sahare,
ji chahta hai mera, phir vo mujhe pukare
daman pakad lu unka aur tham lu vo bahen,
ji raha hu mai aab unke hi sahare
mere pyar ki kahani bejuban ho gai hai,
jindagi meri unke bager viran ho gai hai
cchod kar gaye tum na jane kiske sahare,
ji chahta hai mera phir vo mujhe pukare
bas aab yahi tamanna, aarzoo yahi hai,
aa jayen mere samne vo bahen pasare,
ji chahta hai mera phir vo mujhe pukaren
|
|
 | | Aap ki vo zaalim ada,
mujh ko bimaar kargayi,
ek baar aapne muskura kya diya,
cheer kar dil ko paar kargayi
|
|
 | | Jinki yaad hai dil me nishaani ki tarah
woh to bhool gaye hume kahani ki tarah
|
|
 | | Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah |
|
 | |
aandhi aati hai, tufaaan chale jaate hain
yaade rah jaati hai, insaan chale jaate hain |
|
 | |
galat nahin key zamaney mein la jawaab hain hum
samajh sakey na koi woh kitaab hain hum |
|
 | | Ashq mile to pee lete hain
aap kahe to mar jayen hum
aap kahe to jee lete hain
hum to hain un phoolon jaise
jo kaaton main bhi jee lete hain |
|
 | |
falak ke teer ka kya nishana tha
idhar mera ghar, udhar uska aashiyana tha
puhunch rahi thi kinare pe kashti-e-umeed
usi waqt is tofaan ko bhi yahaan aana tha |
|
 | | Humne kitni koshish ki unhe manane ki,
na jaana kaha se seekh li unhone
yeh ada zidd par utar jaane ki
|
|
 | | Yeh ladki jawani main, jawani se, jawano ko tarpaye gi
aankhon se karegi qatal, aur labon se muskaraye gi |
|
 | | Mere honton ke mehaktay hue naghmo par na ja
mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain
mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain |
|
 | | Bahaar aaii to jaise ek baar
laut aaye hain phir adam se
vo khvaab saare, shabaab saare
jo tere honthon pe mar mite the
jo mit ke har baar phir jeeye the
nikhar gaye hain gulaab saare
jo terii yaadon se mushkbuu hain
jo tere ushshaaq kaa lahuu hain |
|
 | | Ubal padhe hain azaab saare
malaal-e-ahavaal-e-dostaan bhi
khumaar-e-aagosh-e-mahavashaan bhi
gubaar-e-khaatir ke baab saare
tere hamaare
savaal saare, javaab saare
bahaar aaii to khul gaye hain
naye sire se hisaab saare |
|
 | | mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge
main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah |
|
 | | o saaz se nikli hai, woh sada sab ne suni hai
jo saaz pe guzri hai, woh kis dil ko khabar hai |
|
 | | aadi bana kar lazzat-e-aazaar ne mujhey gham ki khalish ko dil ki tamanna bana diya |
|
 | | Aadi bana kar lazzat-e-aazaar ne mujhey
gham ki khalish ko dil ki tamanna bana diya |
|
 | | khamosh raat ki pehlu mein sitare naa hote,
in rookhi aankhon mein rangeen najare naa hote,
hum bhi na karte parwah
agar aap itne pyare na hote%u2026%u2026 |
|
|